Dhoondtay thay tum say milnay kay bahany kitnay
Samnay reh kar bhi rahay begany kitnay
Samnay reh kar bhi rahay begany kitnay
Hum nay tu pyar ka ik pegham hi dia tha Lekin
Logon ne bana liye afsanay kitnay
DiL faqat ik mazaar pe sajda raiz raha
Sir utha kar dekha to beet gaye zamanay kitnay
Jab bhi mila zindagi main faraib hi mila
Hum khud ko samajhtay rahay sayaanay kitnay
Jab sulagty raston per qadam rakha tu jana "MOHSIN"
Na janay yahan aur bhi hain dewany kitnay.

very nice
ReplyDeletelove this poetry
ReplyDelete