Tuesday, September 8, 2009

Hum khud ko samajhtay rahay sayaanay kitnay

Dhoondtay thay tum say milnay kay bahany kitnay
Samnay reh kar bhi rahay begany kitnay


Hum nay tu pyar ka ik pegham hi dia tha Lekin
Logon ne bana liye afsanay kitnay


DiL faqat ik mazaar pe sajda raiz raha
Sir utha kar dekha to beet gaye zamanay kitnay

Jab bhi mila zindagi main faraib hi mila
Hum khud ko samajhtay rahay sayaanay kitnay


Jab sulagty raston per qadam rakha tu jana "MOHSIN"
Na janay yahan aur bhi hain dewany kitnay.

2 comments: